Always keep in mind...

Always keep in mind...

Tuesday, December 06, 2011

Majdoor ka beta (मज़दूर का बेटा)

Ek din yun hi, maine balkani se dekha,
Uss paas ke majdoor ke bete ko,
Wo udaas ek kone me baitha tha,
Kuch bachche bhi wahi khel rahe the,
Chahta to wo bhi tha khelna,
Par ameer-garib ke bhed-bhaav,
Ki sochte,
Apne mann ko masosate,
Wo wahi baitha raha,
Use bachcho ne bulaya bhi khelne ko,
Par wo ruk gaya kuch bade logo ko dekh kar,
Kyunki.............
Use shayad yaad tha ki wo garib hai,
Kuch din baad,
Phir wahi tha manzar,
Bilkul waise hi aa rahe the sab nazar,
Sab the wahaa bas un bado ko choddkar,
Tab wahaa un bado ko na paa kar,
Iss bar bachcho ne diya use offer,
Par aaj uski maa ne rok diya use aankh dikha kar,
Tabhi ek sajjan,
Jo bahut der se ye sab dekh rahe the,
Unhone uska haath thaama,
Aur use jhopdi se nikal kar,
Bhej diya un bachcho ke sath khelne,
Wo baalak muskura diya,

Apne bachche ko khush dekh kar,
Uski maa ki aankho me aansu jhalak aaye,
Uss maa ne apni aankho se hi unhe dhanyawaad diya,
Aaj to wo bade bhi kuch nahi kar paaye,
Kahi na kahi,
Wo sab us sajjan ko kos rahe the.
Uss baalak ko dekh kar,
Main bhi aaj khush tha,
Par aakhir kab tak insano ke beech ye,
Dharm, jati, Kshetrawaad aur paise ki deeware rahengi,
Aakhir kab tak..............???????

No comments:

Post a Comment