Always keep in mind...

Always keep in mind...

Tuesday, December 06, 2011

Pyaara sa ittefaq (प्यारा सा इत्तिफाक़)


Dhadkane tez hai,
saansein thami hai,
palakein uthati hi nahi
aur bas har taraf tum hi tum ho.

Raatei tumhari
bhi bechain hai,
Karwate hum bhi badal rahe hai,
Aahein tum b bhar rahe ho hum bhi,
Kuch khwab tumhari palako pe b hai, kuch hamne bhi sajaaye hai,
kuch tumhare dil me b hai kuch hum b dil me chupaye hai,
sharm-o-haya ka parda b hai aur jazbato ki lehre b,
darte tum bhi ho aur hum bhi,
tumhare lab bhi chup hai,
hamare lafz b bandhe hai,
tumhari saanso se hum apni dhadkan bandhe huye hai,
aur hum(dono) jise mahaz ittefaq samajh rahe the,
wo sab PYAR tha.
Kitna masoom hai ye Dil ke Pyar ki baate samja hi nhi.
Aur pata hi nahi chala ke kab hum Pyaar ke aagosh me kho gaye aur
Hamein Pyaar ho gaya.

Majdoor ka beta (मज़दूर का बेटा)

Ek din yun hi, maine balkani se dekha,
Uss paas ke majdoor ke bete ko,
Wo udaas ek kone me baitha tha,
Kuch bachche bhi wahi khel rahe the,
Chahta to wo bhi tha khelna,
Par ameer-garib ke bhed-bhaav,
Ki sochte,
Apne mann ko masosate,
Wo wahi baitha raha,
Use bachcho ne bulaya bhi khelne ko,
Par wo ruk gaya kuch bade logo ko dekh kar,
Kyunki.............
Use shayad yaad tha ki wo garib hai,
Kuch din baad,
Phir wahi tha manzar,
Bilkul waise hi aa rahe the sab nazar,
Sab the wahaa bas un bado ko choddkar,
Tab wahaa un bado ko na paa kar,
Iss bar bachcho ne diya use offer,
Par aaj uski maa ne rok diya use aankh dikha kar,
Tabhi ek sajjan,
Jo bahut der se ye sab dekh rahe the,
Unhone uska haath thaama,
Aur use jhopdi se nikal kar,
Bhej diya un bachcho ke sath khelne,
Wo baalak muskura diya,

Apne bachche ko khush dekh kar,
Uski maa ki aankho me aansu jhalak aaye,
Uss maa ne apni aankho se hi unhe dhanyawaad diya,
Aaj to wo bade bhi kuch nahi kar paaye,
Kahi na kahi,
Wo sab us sajjan ko kos rahe the.
Uss baalak ko dekh kar,
Main bhi aaj khush tha,
Par aakhir kab tak insano ke beech ye,
Dharm, jati, Kshetrawaad aur paise ki deeware rahengi,
Aakhir kab tak..............???????

Thursday, December 01, 2011

Uljhann (उलझन)


Tum kya ho, ye tum nahi jaanati,
Tum kya ho, ye mere shabd bayaa nahi kar sakte,
Ye shabd mujhe uljhaate hai,
Phoolo se pucha to, ye sakuchaate hai,
Bhanvaro se pucha to, ye chup se ho jaate hai,
Behati hawaa se pucha to, ye thehar si jati hai,
Raaho se pucha to, meri manzil gumm si ho jati hai,
Phir kuch pal baad,
Phoolo se khushboo udi, hawaayein chali,
Manzil kii or chalte hue,
Bhanvaro ne geet gungunaya,
Aur mujhe bataya,
Tum wo ho,
Jo kabhi kisi kavi ki kori kalpana me thi,
Jo kabhi kisi chitrakaar ke khali rango me thi,
Uss kavi ne jo kalam uthayi,
To uski syahi ne tumhe likha,
Uss chitrakaar ne jab rango ko bikhera,
To un rango ne bhi tumhe ukera,
Phir to wo bhi tumhi me ulajh gaye,
Kyunki.............
Jo bhi tumhe dekhe wo dang hai,
Soche ye khushi ka kaunsa rang hai,
Ye bhi kaisa bharan hai,
Kya ye khuda ka nazarein karam hai,
Shayad ye khuda ki hi inayat hai,
Ki,
Jabse tum mujhe mile ho,
Mit gayi meri har shikayat hai,
Par aaj bhi main uljhi hua hu,
Kahaan......??
Ye to main kab ka bhul gaya.